paDe hain zad mein sabhi meri aah ke ab tak
![Ustad Vajahat Husain Khan Ustad Vajahat Husain Khan](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/ustad-vajahat-husain-khan.png)
paDe hain zad mein sabhi meri aah ke ab tak
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
paḌe haiñ zad meñ sabhī merī aah ke ab tak
rahe gavāh jo jhūTe gunāh ke ab tak
na mohtasib hue hāl-e-tabāh ke ab tak
vo haiñ rahīn usī rasm-o-rāh ke ab tak
gunāh kar ke hue jo kabhī na sharminda
bhugat rahe haiñ natīje gunāh ke ab tak
bas ik yahī to hai sarmāya-e-hayāt mirā
haiñ naqsh dil pe jame terī chaah ke ab tak
vo ik nazāra-e-dil-doz ham ne dekhā thā
sulag rahe haiñ darīche nigāh ke ab tak
unheñ bhī manzil-e-maqsūd ho 'atā yārab
ruke hue haiñ musāfir jo raah ke ab tak
mukar ga.e haiñ ka.ī zaḳhm de ke vo 'dā.em'
jo ham se karte the vā'de nibāh ke ab tak
paDe hain zad mein sabhi meri aah ke ab tak
rahe gawah jo jhuTe gunah ke ab tak
na mohtasib hue haal-e-tabah ke ab tak
wo hain rahin usi rasm-o-rah ke ab tak
gunah kar ke hue jo kabhi na sharminda
bhugat rahe hain natije gunah ke ab tak
bas ek yahi to hai sarmaya-e-hayat mera
hain naqsh dil pe jame teri chah ke ab tak
wo ek nazara-e-dil-doz hum ne dekha tha
sulag rahe hain dariche nigah ke ab tak
unhen bhi manzil-e-maqsud ho 'ata yarab
ruke hue hain musafir jo rah ke ab tak
mukar gae hain kai zaKHm de ke wo 'daem'
jo hum se karte the wa'de nibah ke ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.