paDh ke dekhe koi lagae hisab
paḌh ke dekhe koī lagā.e hisāb
zindagānī hai mas.aloñ kī kitāb
ab gadā.ī se kuchh nahīñ hāsil
mil gayā hai har ek dar se javāb
ye jo chāheñ to raah meñ lūTeñ
aise rahbar haiñ āj-kal ke janāb
sub.h jalva-numā.ī kartī hai
raat hai us ke ruḳh kī ek naqāb
kaun ab zindagī ko samjhā.e
maut ḳhud hī hai zindagī kā javāb
phir bhī matlab na koī jaan sakā
laakh dohrā.ī zindagī kī kitāb
ābla-pā junūñ ke sahrā meñ
ham bhī ulTā kiye ḳhirad kī naqāb
maiñ bahut din se chup huuñ 'sailānī'
kis ne chheḌā hai zindagī kā rabāb
paDh ke dekhe koi lagae hisab
zindagani hai masalon ki kitab
ab gadai se kuchh nahin hasil
mil gaya hai har ek dar se jawab
ye jo chahen to rah mein luTen
aise rahbar hain aaj-kal ke janab
subh jalwa-numai karti hai
raat hai us ke ruKH ki ek naqab
kaun ab zindagi ko samjhae
maut KHud hi hai zindagi ka jawab
phir bhi matlab na koi jaan saka
lakh dohrai zindagi ki kitab
aabla-pa junun ke sahra mein
hum bhi ulTa kiye KHirad ki naqab
main bahut din se chup hun 'sailani'
kis ne chheDa hai zindagi ka rabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.