paDha hai maine KHat mein aaj aaya hai
paḌhā hai maiñ ne ḳhat meñ aaj aaya hai
nayā mausam na.e jazbāt laayā hai
tumhārī ḳhud-parastī nā-shanāsī ne
hameñ ye rāsta mushkil dikhāyā hai
zamāne ke sitam dard-o-alam saare
sabhī kuchh zindagī se ham ne paayā hai
dukhāyā zindagī ne jab bhī hai dil ko
tirī yādoñ ko siine se lagāyā hai
banāyā hai ḳhudā ne is mohabbat ko
use insāñ ne jaañ de kar nibhāyā hai
dil-o-jāñ se tumheñ ai dil-rubā ham ne
'anīs'-e-jāñ banā dil meñ basāyā hai
paDha hai main ne KHat mein aaj aaya hai
naya mausam nae jazbaat laya hai
tumhaari KHud-parasti na-shanasi ne
hamein ye rasta mushkil dikhaya hai
zamane ke sitam dard-o-alam sare
sabhi kuchh zindagi se hum ne paya hai
dukhaya zindagi ne jab bhi hai dil ko
teri yaadon ko sine se lagaya hai
banaya hai KHuda ne is mohabbat ko
use insan ne jaan de kar nibhaya hai
dil-o-jaan se tumhein ai dil-ruba hum ne
'anis'-e-jaan bana dil mein basaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.