paDha tha jis ko muqaddas kitab ki surat
paḌhā thā jis ko muqaddas kitāb kī sūrat
harām ho gayā ham par sharāb kī sūrat
ḳhizāñ meñ jin ko chunā thā vo ek ik tinkā
bikhar gayā hai bahāroñ meñ ḳhvāb kī sūrat
hamāre sar kī hai me.arāj nok-e-neza par
bulandiyāñ hī rahīñ āftāb kī sūrat
sajī hai dosh pe apne qabā-e-gul-badanī
khile haiñ zaḳhm badan par gulāb kī sūrat
tumhāre shahr kī galiyoñ meñ zindagī kā fusūñ
utar gayā kisī motī kī aab kī sūrat
har ek chiiz ham un ke huzūr haar ke bhī
palaT ke aa.e kisī kāmyāb kī sūrat
paḌho to ġhaur se merā navishta-e-hastī
tumhāre naam hai ik intisāb kī sūrat
añdherī raat meñ jab nikle mai-kade se shaiḳh
chale haram ko mujassam savāb kī sūrat
paDha tha jis ko muqaddas kitab ki surat
haram ho gaya hum par sharab ki surat
KHizan mein jin ko chuna tha wo ek ek tinka
bikhar gaya hai bahaaron mein KHwab ki surat
hamare sar ki hai mearaj nok-e-neza par
bulandiyan hi rahin aaftab ki surat
saji hai dosh pe apne qaba-e-gul-badani
khile hain zaKHm badan par gulab ki surat
tumhaare shahr ki galiyon mein zindagi ka fusun
utar gaya kisi moti ki aab ki surat
har ek chiz hum un ke huzur haar ke bhi
palaT ke aae kisi kaamyab ki surat
paDho to ghaur se mera nawishta-e-hasti
tumhaare nam hai ek intisab ki surat
andheri raat mein jab nikle mai-kade se shaiKH
chale haram ko mujassam sawab ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.