paDhai karne ke hi darmiyan khinchti hai
paḌhā.ī karne ke hī darmiyān khīñchtī hai
kabhī kabhī to vo laḌkī yuuñ dhyān khīñchtī hai
vo baiThtī hai darīche meñ raat hote hī
aur us ke baa'd sitāroñ ke kaan khīñchtī hai
hazār jaan bhī qurbān shāhzādī par
ki jis adā se vo mujh par kamān khīñchtī hai
yuuñ khīñchte haiñ mujhe tere jhumke apnī taraf
kisī namāzī ko jaise azaan khīñchtī hai
kaleje un ke chabātī hai baa'd meñ vo 'doraib'
ki vā'izoñ kī vo pahle zabān khīñchtī hai
paDhai karne ke hi darmiyan khinchti hai
kabhi kabhi to wo laDki yun dhyan khinchti hai
wo baiThti hai dariche mein raat hote hi
aur us ke ba'd sitaron ke kan khinchti hai
hazar jaan bhi qurban shahzadi par
ki jis ada se wo mujh par kaman khinchti hai
yun khinchte hain mujhe tere jhumke apni taraf
kisi namazi ko jaise azan khinchti hai
kaleje un ke chabaati hai ba'd mein wo 'doraib'
ki wa'izon ki wo pahle zaban khinchti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.