paDhi gai na wo tahrir-e-gham jabinon se
paḌhī ga.ī na vo tahrīr-e-ġham jabīnoñ se
jo poñchhtī rahī ashkoñ ko āstīnoñ se
kabhī na degī sahārā shikastagī dil kī
safar na kījiye TuuTe hue safīnoñ se
tire ḳhayāl kī bārish meñ bhīgne ke liye
taras rahe haiñ asīrān-e-dil mahīnoñ se
samajh na pā.eñge ye zāhidān-e-sāda dil
diloñ meñ aag bhaḌaktī hai ābgīnoñ se
shikast-e-jām muqaddar ko mānñe vaale
sharāb koī ho bantī hai vo pasīnoñ se
bujhe charāġh sitāroñ ke dil laraz uTThe
nigār-e-sub.h utarne lagī hai zīnoñ se
unheñ sañbhālne meñ umr kaT ga.ī hai 'fahīm'
hamārī sīpiyāñ kuchh kam nahīñ nagīnoñ se
paDhi gai na wo tahrir-e-gham jabinon se
jo ponchhti rahi ashkon ko aastinon se
kabhi na degi sahaara shikastagi dil ki
safar na kijiye TuTe hue safinon se
tere KHayal ki barish mein bhigne ke liye
taras rahe hain asiran-e-dil mahinon se
samajh na paenge ye zahidan-e-sada dil
dilon mein aag bhaDakti hai aabginon se
shikast-e-jam muqaddar ko manne wale
sharab koi ho banti hai wo pasinon se
bujhe charagh sitaron ke dil laraz uTThe
nigar-e-subh utarne lagi hai zinon se
unhen sanbhaalne mein umr kaT gai hai 'fahim'
hamari sipiyan kuchh kam nahin naginon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.