paDhiye sabaq yahi hai wafa ki kitab ka
paḌhiye sabaq yahī hai vafā kī kitāb kā
kāñTe karā rahe haiñ ta.āruf gulāb kā
kaisā ye intishār diyoñ kī safoñ meñ hai
kuchh to asar huā hai havā ke ḳhitāb kā
ye tai kiyā jo maiñ ne junūñ tak maiñ jā.ūñgā
ye marhala aham hai mire iztirāb kā
maanā bahut hasīn thā vo umr kā paḌāv
qissa magar na chheḌiye ahd-e-shabāb kā
'az.har' kahīñ se niiñd kā ab kiije intizām
yūñhī nikal na jaa.e ye mausam bhī ḳhvāb kā
paDhiye sabaq yahi hai wafa ki kitab ka
kanTe kara rahe hain taaruf gulab ka
kaisa ye intishaar diyon ki safon mein hai
kuchh to asar hua hai hawa ke KHitab ka
ye tai kiya jo main ne junun tak main jaunga
ye marhala aham hai mere iztirab ka
mana bahut hasin tha wo umr ka paDaw
qissa magar na chheDiye ahd-e-shabab ka
'azhar' kahin se nind ka ab kije intizam
yunhi nikal na jae ye mausam bhi KHwab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.