paDhne wala koi nahin tha sare likhne wale the
paḌhne vaalā koī nahīñ thā saare likhne vaale the
har ujle kāġhaz par kitne dhabbe kaale kaale the
har dam bañdhā rahā pairoñ se sahrā kā anjān safar
ham ne us ko sūraj maanā jis ke paañv meñ chhāle the
ham us anjānī bastī meñ kaise pahchāne jaate
tum bhī itnī duur khaḌe the jitnī duur ujāle the
bas ik dāġh-e-nākāmī thā jo sāñsoñ par likkhā rahā
vaise to bārish ne apne sab kapḌe dho Daale the
ham ne to uḌte dekhā hai sab ko khulī fazāoñ meñ
kis ke paañv meñ zanjīreñ thiiñ kin hoñToñ par taale the
is kā matlab maiñ ghar meñ thā aur soyā thā bistar par
āvezāñ khiḌkī darvāzoñ par makḌī ke jaale the
aisā hotā bin samjhā.e baat samajh meñ aa jaatī
nāhaq nā-dānoñ ne chādar bāhar paañv nikāle the
ġhaur se dekho vahāñ kahīñ se kuchh bādal guzre hoñge
āsmān kī jānib ham ne dariyā jahāñ uchhāle the
shāyad tum ne dekh liyā thā isī liye mahfūz rahe
vaise to 'parvāz' sabhī ne ham par Dore Daale the
paDhne wala koi nahin tha sare likhne wale the
har ujle kaghaz par kitne dhabbe kale kale the
har dam bandha raha pairon se sahra ka anjaan safar
hum ne us ko suraj mana jis ke panw mein chhaale the
hum us anjaani basti mein kaise pahchane jate
tum bhi itni dur khaDe the jitni dur ujale the
bas ek dagh-e-nakaami tha jo sanson par likkha raha
waise to barish ne apne sab kapDe dho Dale the
hum ne to uDte dekha hai sab ko khuli fazaon mein
kis ke panw mein zanjiren thin kin honTon par tale the
is ka matlab main ghar mein tha aur soya tha bistar par
aawezan khiDki darwazon par makDi ke jale the
aisa hota bin samjhae baat samajh mein aa jati
nahaq na-danon ne chadar bahar panw nikale the
ghaur se dekho wahan kahin se kuchh baadal guzre honge
aasman ki jaanib hum ne dariya jahan uchhaale the
shayad tum ne dekh liya tha isi liye mahfuz rahe
waise to 'parwaz' sabhi ne hum par Dore Dale the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.