pagDanDi lag rahi thi pahaDon ke darmiyan
pagDanDī lag rahī thī pahāḌoñ ke darmiyāñ
niklī huī thī maañg yuuñ bāloñ ke darmiyāñ
pahle takallufāt sabhī bartaraf hue
phir guftugū shurūa huī āñkhoñ ke darmiyāñ
hijr-o-firāq aur ye tanhā.ī maar de
vaqfa agar na din kā ho rātoñ ke darmiyāñ
siine pe haath kyā rakhā dhaḌkan sañbhal ga.ī
hichkī sī ek qaid thī sāñsoñ ke darmiyāñ
kam-baḳht sab ke sāmne le de na terā naam
maiñ ne zabān daab lī dāñtoñ ke darmiyāñ
qaa.em hai us ke dam se hī dam-ḳham anā ġhurūr
sar naam kī jo chiiz hai shānoñ ke darmiyāñ
pahle maiñ baat kar luuñ zarā ġham-shanās kī
terā bhī hogā tazkira sheroñ ke darmiyāñ
kamzor sī nahīf sī bulbul ke vāste
ghamsān kī laḌā.ī thī chīloñ ke darmiyāñ
sāda-dilī to dekhiye 'dānish-azīz' kī
ik ghar banā rahā hai makānoñ ke darmiyāñ
pagDanDi lag rahi thi pahaDon ke darmiyan
nikli hui thi mang yun baalon ke darmiyan
pahle takallufat sabhi bartaraf hue
phir guftugu shurua hui aankhon ke darmiyan
hijr-o-firaq aur ye tanhai mar de
waqfa agar na din ka ho raaton ke darmiyan
sine pe hath kya rakha dhaDkan sanbhal gai
hichki si ek qaid thi sanson ke darmiyan
kam-baKHt sab ke samne le de na tera nam
main ne zaban dab li danton ke darmiyan
qaem hai us ke dam se hi dam-KHam ana ghurur
sar nam ki jo chiz hai shanon ke darmiyan
pahle main baat kar lun zara gham-shanas ki
tera bhi hoga tazkira sheron ke darmiyan
kamzor si nahif si bulbul ke waste
ghamsan ki laDai thi chilon ke darmiyan
sada-dili to dekhiye 'danish-aziz' ki
ek ghar bana raha hai makanon ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.