pagDanDiyon pe chalna bhi to bheD-chaal hai
pagDanDiyoñ pe chalnā bhī to bheḌ-chāl hai
ai nudrat-e-ḳhayāl tirā kyā ḳhayāl hai
vo log ḳhush-nasīb haiñ is daur meñ jinheñ
itnī ḳhabar nahīñ hai ki jiinā muhāl hai
ye iltavā-e-qatl hai jaañ kī amaañ nahīñ
shahr-e-sitam meñ ab jo salīboñ kā kaal hai
bīmār kījiye na in alfāz se mujhe
kahiye mizāj kaise haiñ kyā hāl-chāl hai
raste tamām band haiñ kū-e-najāt ke
mar kar bhī merī ḳhaak yahīñ pā.emāl hai
rasm-e-‘iyār-e-tab’-e-ḳharīdār uTh ga.ī
jo ḳhud ko bech le vahī sāhib-kamāl hai
bas ye huā hai aap kī auqāt ghaT ga.ī
ye kis ne kah diyā hai ki qaht-ur-rijāl hai
tang aa ke aap dair-o-haram ko to chhoḌ deñ
lekin nayā shivāla ye TeḌhā savāl hai
shīshe kā sar liye hue miTTī ke jism par
bāzār ke hujūm meñ chalnā muhāl hai
kab maiñ ne ye kahā hai ki maiñ be-misāl huuñ
ik shaḳhs aa.ine meñ bhī merī misāl hai
pagDanDiyon pe chalna bhi to bheD-chaal hai
ai nudrat-e-KHayal tera kya KHayal hai
wo log KHush-nasib hain is daur mein jinhen
itni KHabar nahin hai ki jina muhaal hai
ye iltawa-e-qatl hai jaan ki aman nahin
shahr-e-sitam mein ab jo salibon ka kal hai
bimar kijiye na in alfaz se mujhe
kahiye mizaj kaise hain kya haal-chaal hai
raste tamam band hain ku-e-najat ke
mar kar bhi meri KHak yahin paemal hai
rasm-e-‘iyar-e-tab’-e-KHaridar uTh gai
jo KHud ko bech le wahi sahib-kamal hai
bas ye hua hai aap ki auqat ghaT gai
ye kis ne kah diya hai ki qaht-ur-rijal hai
tang aa ke aap dair-o-haram ko to chhoD den
lekin naya shiwala ye TeDha sawal hai
shishe ka sar liye hue miTTi ke jism par
bazar ke hujum mein chalna muhaal hai
kab main ne ye kaha hai ki main be-misal hun
ek shaKHs aaine mein bhi meri misal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.