pahaD ki tarah atraf mein khaDi hai shab
pahāḌ kī tarah atrāf meñ khaḌī hai shab
ai merī soch ke sūraj bahut baḌī hai shab
safed-posh badan par girī nahīñ kālak
ḳhizāñ-rasīda shajar kī tarah jhaḌī hai shab
khulā nahīñ mirī dastak pe koī darvāza
ajiib ḳhauf-nagar meñ ye aa paḌī hai shab
maiñ sochtā huuñ ki sūraj kidhar se niklegā
jo sūliyoñ kī tarah har jagah gaḌī hai shab
Darā rahe haiñ 'sadaf' ratjagoñ ke sannāTe
mire qarīb raho tum bahut kaḌī hai shab
pahaD ki tarah atraf mein khaDi hai shab
ai meri soch ke suraj bahut baDi hai shab
safed-posh badan par giri nahin kalak
KHizan-rasida shajar ki tarah jhaDi hai shab
khula nahin meri dastak pe koi darwaza
ajib KHauf-nagar mein ye aa paDi hai shab
main sochta hun ki suraj kidhar se niklega
jo suliyon ki tarah har jagah gaDi hai shab
Dara rahe hain 'sadaf' ratjagon ke sannaTe
mere qarib raho tum bahut kaDi hai shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.