pahan kar dast-o-pa mein aahani zewar nikalte hain
pahan kar dast-o-pā meñ āhanī zevar nikalte haiñ
tire vahshī ba-sū-e-dār ban-Than kar nikalte haiñ
baġhāvat kī havā jab bhī dikhātī hai asar apnā
to phir sanjīda logoñ meñ bhī kuchh ḳhud-sar nikalte haiñ
koī mujh ko ye batlā.e ki ujle pairahan vaale
añdherī raat ke aalam meñ kyuuñ bāhar nikalte haiñ
jinheñ da.avā hai gulshan meñ guloñ kī pāsbānī kā
pas-e-parda vahī phūloñ ke saudā-gar nikalte haiñ
ham is bastī ko farzānoñ kī bastī kah nahīñ sakte
yahāñ to ik zarā sī baat par ḳhanjar nikalte haiñ
zamāne meñ 'zafar' logoñ kā andāza hī mushkil hai
jinheñ nāzuk badan samjho vahī patthar nikalte haiñ
pahan kar dast-o-pa mein aahani zewar nikalte hain
tere wahshi ba-su-e-dar ban-Than kar nikalte hain
baghawat ki hawa jab bhi dikhati hai asar apna
to phir sanjida logon mein bhi kuchh KHud-sar nikalte hain
koi mujh ko ye batlae ki ujle pairahan wale
andheri raat ke aalam mein kyun bahar nikalte hain
jinhen dawa hai gulshan mein gulon ki pasbani ka
pas-e-parda wahi phulon ke sauda-gar nikalte hain
hum is basti ko farzanon ki basti kah nahin sakte
yahan to ek zara si baat par KHanjar nikalte hain
zamane mein 'zafar' logon ka andaza hi mushkil hai
jinhen nazuk badan samjho wahi patthar nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.