pahan ke khadi aman ki baaten kiya karenge
pahan ke khādī aman kī bāteñ kiyā kareñge
abhī jo qātil haiñ kal masīhā huā kareñge
ye log saare jo mere marne pe ġham-zada haiñ
abhī jo uTh ke maiñ baiTh jā.ūñ to kyā kareñge
vo kah rahe haiñ ki ḳhud ko un ke havāle kar duuñ
to mere badle pachās qaidī rihā kareñge
jo tū na hogā to dil havelī sarā.e hogī
sarā.e jis meñ hasīn chehre rukā kareñge
faqat vafā ke tijāratī haiñ ye log saare
milegī jab tak vafā tabhī tak vafā kareñge
pahan ke khadi aman ki baaten kiya karenge
abhi jo qatil hain kal masiha hua karenge
ye log sare jo mere marne pe gham-zada hain
abhi jo uTh ke main baiTh jaun to kya karenge
wo kah rahe hain ki KHud ko un ke hawale kar dun
to mere badle pachas qaidi riha karenge
jo tu na hoga to dil haweli sarae hogi
sarae jis mein hasin chehre ruka karenge
faqat wafa ke tijarati hain ye log sare
milegi jab tak wafa tabhi tak wafa karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.