pahan ke pairahan-e-rang-o-bu nikalta hai
pahan ke pairahan-e-rang-o-bū nikaltā hai
kis ehtimām se vo ḳhūb-rū nikaltā hai
'ajab hai shahr kī maḳhlūq jis ko chhūtā huuñ
gale se tiir badan se lahū nikaltā hai
maiñ tujh ko vus’at-e-dil meñ kahāñ kahāñ dekhūñ
har ek parda-e-manzar se tū nikaltā hai
koī bhī naqsh banā.ūñ to us ke rangoñ se
vahī nikaltā hai aur hū-bahū nikaltā hai
maiñ jis ke nuur se rahtā huuñ raah meñ raushan
vo āftāb pas-e-justujū nikaltā hai
maiñ us ko shahr kī galiyoñ meñ DhūñDhtā huuñ magar
mirā ġhazāl sar-e-dasht-e-hū nikaltā hai
'ajīb shahr hai jis ghar pe dījiye dastak
khule agar to hamārā 'adū nikaltā hai
pahan ke pairahan-e-rang-o-bu nikalta hai
kis ehtimam se wo KHub-ru nikalta hai
'ajab hai shahr ki maKHluq jis ko chhuta hun
gale se tir badan se lahu nikalta hai
main tujh ko wus’at-e-dil mein kahan kahan dekhun
har ek parda-e-manzar se tu nikalta hai
koi bhi naqsh banaun to us ke rangon se
wahi nikalta hai aur hu-bahu nikalta hai
main jis ke nur se rahta hun rah mein raushan
wo aaftab pas-e-justuju nikalta hai
main us ko shahr ki galiyon mein DhunDhta hun magar
mera ghazal sar-e-dasht-e-hu nikalta hai
'ajib shahr hai jis ghar pe dijiye dastak
khule agar to hamara 'adu nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.