pahan ke ujli si poshak chala jata hai
pahan ke ujlī sī poshāk chalā jaatā hai
kaun ye shaḳhs tah-e-ḳhāk chalā jaatā hai
kahīñ pīchhe rahe jaate haiñ sabhī arz-o-samā
aage aage mirā idrāk chalā jaatā hai
ab to vo merī mohabbat kā bhī maqrūz nahīñ
jaane kis vāste namnāk chalā jaatā hai
kaun jā saktā hai vaañ tak pa agar ho mahbūb
vo sar-e-arsh bhī bebāk chalā jaatā hai
saañp hī saañp lipaTte haiñ jahāñ pairoñ se
aise rastoñ pe bhalā ḳhaak chalā jaatā hai
pahan ke ujli si poshak chala jata hai
kaun ye shaKHs tah-e-KHak chala jata hai
kahin pichhe rahe jate hain sabhi arz-o-sama
aage aage mera idrak chala jata hai
ab to wo meri mohabbat ka bhi maqruz nahin
jaane kis waste namnak chala jata hai
kaun ja sakta hai wan tak pa agar ho mahbub
wo sar-e-arsh bhi bebak chala jata hai
sanp hi sanp lipaTte hain jahan pairon se
aise raston pe bhala KHak chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.