paheli kaun bujhega jawab-e-naz-e-jaanan ki
pahelī kaun būjhegā javāb-e-nāz-e-jānāñ kī
ham us huuñ ko samajhte haiñ nahīñ kī us ne yā haañ kī
azal se ye amānat hai junūn-e-fitna-sāmāñ kī
ḳhirad ke haath lag saktī nahīñ dhajjī garebāñ kī
agar maujoñ se Dar ke ham bhī sāhil hī pe rah jaate
to duniyā par haqīqat hashr tak khultī na tūfāñ kī
giraftār-e-balā ke haq meñ vo zanjīr bantā hai
jo naala niiñd uḌā detā hai zindāñ ke nigahbāñ kī
kahe kuchh to bharam jaa.e jo chup baiThe to huuk uTThe
zarūrat maut ban jaatī hai ġhairat-dār insāñ kī
kuchh aise phuul ham ne bhī chune the apne dāman meñ
jo apne saath raunaq le ga.e gulzār-e-imkāñ kī
vo dīvāna mire nazdīk hoshyāroñ se achchhā hai
haqīqat jis ne kuchh samjhī nahīñ tār-e-rag-e-jāñ kī
ye majbūrī tamāshā chashm-e-ālam meñ banā varna
ḳhushī se dhajjiyāñ koī uḌātā hai garebāñ kī
chaman kyā hai namūna mere ik rañgīñ tasavvur kā
nashāt-e-kār ne sūrat badal dī hai bayābāñ kī
nikhāreñge yahī kuchh phuul aur kāñTe kī rañgat ko
phaTe dāman pe jo tārīḳh likkheñge gulistāñ kī
muqaddar meñ jo thī ai 'jurm' qaid-e-zīst kī saḳhtī
anāsir ke ravābit ban ga.e dīvār-o-zindāñ kī
paheli kaun bujhega jawab-e-naz-e-jaanan ki
hum us hun ko samajhte hain nahin ki us ne ya han ki
azal se ye amanat hai junun-e-fitna-saman ki
KHirad ke hath lag sakti nahin dhajji gareban ki
agar maujon se Dar ke hum bhi sahil hi pe rah jate
to duniya par haqiqat hashr tak khulti na tufan ki
giraftar-e-bala ke haq mein wo zanjir banta hai
jo nala nind uDa deta hai zindan ke nigahban ki
kahe kuchh to bharam jae jo chup baiThe to huk uTThe
zarurat maut ban jati hai ghairat-dar insan ki
kuchh aise phul hum ne bhi chune the apne daman mein
jo apne sath raunaq le gae gulzar-e-imkan ki
wo diwana mere nazdik hoshyaron se achchha hai
haqiqat jis ne kuchh samjhi nahin tar-e-rag-e-jaan ki
ye majburi tamasha chashm-e-alam mein bana warna
KHushi se dhajjiyan koi uData hai gareban ki
chaman kya hai namuna mere ek rangin tasawwur ka
nashat-e-kar ne surat badal di hai bayaban ki
nikhaarenge yahi kuchh phul aur kanTe ki rangat ko
phaTe daman pe jo tariKH likkhenge gulistan ki
muqaddar mein jo thi ai 'jurm' qaid-e-zist ki saKHti
anasir ke rawabit ban gae diwar-o-zindan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.