pahla sa aashiqi ka wo mear bhi nahin
pahlā sā āshiqī kā vo me.aar bhī nahīñ
aur husn kī vo garmī-e-bāzār bhī nahīñ
lillāh ab to ruḳh se uThā dījiye naqāb
aise meñ koī tālib-e-dīdār bhī nahīñ
sar-basta-rāz-hā-e-haqīqat kī dāstāñ
kahte haiñ vo jo vāqif-e-asrār bhī nahīñ
apnā ajiib haal hai zindān-e-dahr meñ
āzād bhī nahīñ haiñ giraftār bhī nahīñ
josh-e-junūn-e-ishq ko kyā nazr duuñ ki ab
dāmān-e-zindagī meñ koī taar bhī nahīñ
hai qāfila bhī bhaTkā huā apnī raah se
manzil-shanās qāfila-sālār bhī nahīñ
dekhā hai jab se jalva-e-rū-e-jamāl-e-dost
'mūsā' ko zindagī se koī pyaar bhī nahīñ
pahla sa aashiqi ka wo mear bhi nahin
aur husn ki wo garmi-e-bazar bhi nahin
lillah ab to ruKH se uTha dijiye naqab
aise mein koi talib-e-didar bhi nahin
sar-basta-raaz-ha-e-haqiqat ki dastan
kahte hain wo jo waqif-e-asrar bhi nahin
apna ajib haal hai zindan-e-dahr mein
aazad bhi nahin hain giraftar bhi nahin
josh-e-junun-e-ishq ko kya nazr dun ki ab
daman-e-zindagi mein koi tar bhi nahin
hai qafila bhi bhaTka hua apni rah se
manzil-shanas qafila-salar bhi nahin
dekha hai jab se jalwa-e-ru-e-jamal-e-dost
'musa' ko zindagi se koi pyar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.