pahla sa kyon na aah mein meri asar raha
pahlā sā kyoñ na aah meñ merī asar rahā
kyoñ iztirāb-e-shauq se vo be-ḳhabar rahā
shāyad jahān-e-shauq tilism-e-ḳhayāl hai
ik lamha-bhar kā ḳhvāb ki bas lamha-bhar rahā
jā bhī chukā vo phuul sī ḳhushbū bikher kar
maiñ justujū meñ kyoñ tah-e-gard-e-safar rahā
maiñ ne sabhī ke dard meñ ḳhud ko kiyā halāk
ye bhī to ik gunāh thā jo mere sar rahā
merī ye aarzū ki ḳhalāoñ ko sar karūñ
lekin maiñ vo parind ki be-bāl-o-par rahā
vo bhī to jāntā ki mohabbat hai kyā balā
kyoñ siina us kā mere ḳhudā be-sharar rahā
pahla sa kyon na aah mein meri asar raha
kyon iztirab-e-shauq se wo be-KHabar raha
shayad jahan-e-shauq tilism-e-KHayal hai
ek lamha-bhar ka KHwab ki bas lamha-bhar raha
ja bhi chuka wo phul si KHushbu bikher kar
main justuju mein kyon tah-e-gard-e-safar raha
main ne sabhi ke dard mein KHud ko kiya halak
ye bhi to ek gunah tha jo mere sar raha
meri ye aarzu ki KHalaon ko sar karun
lekin main wo parind ki be-baal-o-par raha
wo bhi to jaanta ki mohabbat hai kya bala
kyon sina us ka mere KHuda be-sharar raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.