pahle andaz-e-guftugu aae
pahle andāz-e-guftugū aa.e
phir koī un ke rū-ba-rū aa.e
terī yaad aa.ī is tarah ai dost
terī zulfoñ kī jaise bū aa.e
mujh ko be-sāḳhta hañsī aa.ī
hādse jab bhī rū-ba-rū aa.e
jal rahe haiñ charāġh palkoñ par
aise aalam meñ kaash tū aa.e
DhūñDne tujh ko tere kūche meñ
kitne hī ahl-e-justujū aa.e
pākī-e-zehn-o-dil hī sab kuchh hai
vaise kitne hī bā-vazū aa.e
be-ġharaz tere dar pe kaun aaya
sab asīrān-e-ārzū aa.e
mil ga.ī hai nigāh saaqī se
daur meñ sāġhar-o-subū aa.e
Duub kar terī yaad meñ 'aḳhtar'
har bulandī ko ham bhī chhū aa.e
pahle andaz-e-guftugu aae
phir koi un ke ru-ba-ru aae
teri yaad aai is tarah ai dost
teri zulfon ki jaise bu aae
mujh ko be-saKHta hansi aai
hadse jab bhi ru-ba-ru aae
jal rahe hain charagh palkon par
aise aalam mein kash tu aae
DhunDne tujh ko tere kuche mein
kitne hi ahl-e-justuju aae
paki-e-zehn-o-dil hi sab kuchh hai
waise kitne hi ba-wazu aae
be-gharaz tere dar pe kaun aaya
sab asiran-e-arzu aae
mil gai hai nigah saqi se
daur mein saghar-o-subu aae
Dub kar teri yaad mein 'aKHtar'
har bulandi ko hum bhi chhu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.