pahle atlas mein jo malbus kiye jate hain
pahle atlas mein jo malbus kiye jate hain
Fahmida Mosarrat Ahmad
MORE BYFahmida Mosarrat Ahmad
pahle atlas meñ jo malbūs kiye jaate haiñ
phir vo aivānoñ meñ mahbūs kiye jaate haiñ
maiñ unheñ hīta-e-tahrīr meñ lā.ūñ kaise
dard likkhe nahīñ mahsūs kiye jaate haiñ
bāl-o-par kaaT ke deñ izn-e-rihā.ī kyūñ-kar
un parindoñ ko jo mānūs kiye jaate haiñ
itnī āsān nahīñ hotī hai ye rāh-e-suḳhan
paar is meñ ka.ī qāmūs kiye jaate haiñ
in pe to aap hī jhuk jaatī hai rab kī rahmat
jo bhī is duniyā se māyūs kiye jaate haiñ
kyoñ na hoñ zer-o-zabar taḳht-e-'masarrat' un ke
raqs jab sāya-e-tā.ūs kiye jaate haiñ
pahle atlas mein jo malbus kiye jate hain
phir wo aiwanon mein mahbus kiye jate hain
main unhen hita-e-tahrir mein laun kaise
dard likkhe nahin mahsus kiye jate hain
baal-o-par kaT ke den izn-e-rihai kyun-kar
un parindon ko jo manus kiye jate hain
itni aasan nahin hoti hai ye rah-e-suKHan
par is mein kai qamus kiye jate hain
in pe to aap hi jhuk jati hai rab ki rahmat
jo bhi is duniya se mayus kiye jate hain
kyon na hon zer-o-zabar taKHt-e-'masarrat' un ke
raqs jab saya-e-taus kiye jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.