pahle chup-chap mujhe takta raha darwaza
pahle chup-chāp mujhe taktā rahā darvāza
jūñhī maiñ jaane lagā bol paḌā darvāza
aaj tak bhuul nahīñ paayā maiñ un tīnoñ ko
vo mohalla vo galī aur tirā darvāza
pahle ham donoñ baḌī der talak hañste rahe
baat furqat kī chalī rone lagā darvāza
ik yahī baat samajh meñ nahīñ aa.ī ab tak
kyoñ palaT aaya thā maiñ jab vo khulā darvāza
maiñ jahāñ dastakeñ detā rahā dīvār thī vo
aur jise samjhā thā dīvār vo thā darvāza
jaane kis shaḳhs ne dīvār pe dastak dī hai
ki achānak hī vahāñ phuuT paḌā darvāza
ye vo dastak hai ki darvāza jise jāntā hai
ḳhud-ba-ḳhud yūñhī nahīñ khulne lagā darvāza
bad-havāsī kā ye aalam thā ki kuchh yaad na thā
aur to aur mujhe bhuul gayā darvāza
ka.ī darvāze nikal aate the darvāze se
aise lagtā hai ki ab bāñjh huā darvāza
ek din bahs chhiḌī maut haqīqat kyā hai
kuchh ne dīvār kahā kuchh ne kahā darvāza
rā.egāñ umr kaTī khul na sakā rāz-e-hayāt
zindagī ḳhatm huī tab ye khulā darvāza
ḳhvāb-e-ġhaflat meñ rahā tauba kā aaya na ḳhayāl
aur jab aañkh khulī band huā darvāza
zabt itnā bhī mire bas meñ nahīñ thā 'ahmad'
habs jab had se baḌhā toḌ diyā darvāza
pahle chup-chap mujhe takta raha darwaza
junhi main jaane laga bol paDa darwaza
aaj tak bhul nahin paya main un tinon ko
wo mohalla wo gali aur tera darwaza
pahle hum donon baDi der talak hanste rahe
baat furqat ki chali rone laga darwaza
ek yahi baat samajh mein nahin aai ab tak
kyon palaT aaya tha main jab wo khula darwaza
main jahan dastaken deta raha diwar thi wo
aur jise samjha tha diwar wo tha darwaza
jaane kis shaKHs ne diwar pe dastak di hai
ki achanak hi wahan phuT paDa darwaza
ye wo dastak hai ki darwaza jise jaanta hai
KHud-ba-KHud yunhi nahin khulne laga darwaza
bad-hawasi ka ye aalam tha ki kuchh yaad na tha
aur to aur mujhe bhul gaya darwaza
kai darwaze nikal aate the darwaze se
aise lagta hai ki ab banjh hua darwaza
ek din bahs chhiDi maut haqiqat kya hai
kuchh ne diwar kaha kuchh ne kaha darwaza
raegan umr kaTi khul na saka raaz-e-hayat
zindagi KHatm hui tab ye khula darwaza
KHwab-e-ghaflat mein raha tauba ka aaya na KHayal
aur jab aankh khuli band hua darwaza
zabt itna bhi mere bas mein nahin tha 'ahmad'
habs jab had se baDha toD diya darwaza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.