pahle dariya se sahra ho jata hun
pahle dariyā se sahrā ho jaatā huuñ
rote rote phir dariyā ho jaatā huuñ
tanhā.ī meñ ik mahfil sī rahtī hai
mahfil meñ jā kar tanhā ho jaatā huuñ
us ke husn ke sāmne tum apnī jaano
maiñ to bilkul hī andhā ho jaatā huuñ
jism pe jaadū kar detī hai vo āġhosh
maiñ dhīre dhīre bachcha ho jaatā huuñ
ḳhuub junūñ kartā huuñ jab hotā huuñ dukhī
is pāgalpan meñ achchhā ho jaatā huuñ
aisī ravāñ hotī hai vasl meñ abjad-e-jism
ek alif chaltā huuñ yā ho jaatā huuñ
ḳhāk-e-ravāñ huuñ martā huuñ ik jānib se
dūsrī jānib se paidā ho jaatā huuñ
jaane kyā hotā hai shā'irī karte vaqt
bilkul ‘farhat-ehsāsā’ ho jaatā huuñ
pahle dariya se sahra ho jata hun
rote rote phir dariya ho jata hun
tanhai mein ek mahfil si rahti hai
mahfil mein ja kar tanha ho jata hun
us ke husn ke samne tum apni jaano
main to bilkul hi andha ho jata hun
jism pe jadu kar deti hai wo aaghosh
main dhire dhire bachcha ho jata hun
KHub junun karta hun jab hota hun dukhi
is pagalpan mein achchha ho jata hun
aisi rawan hoti hai wasl mein abjad-e-jism
ek alif chalta hun ya ho jata hun
KHak-e-rawan hun marta hun ek jaanib se
dusri jaanib se paida ho jata hun
jaane kya hota hai sha'iri karte waqt
bilkul ‘farhat-ehsasa’ ho jata hun
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 75)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.