pahle falak se farsh pe phenka gaya mujhe
pahle falak se farsh pe pheñkā gayā mujhe
phir mujh se rū-shanās karāyā gayā mujhe
merī sadā pe kab mujhe āvāz dī ga.ī
ik ajnabī sadā pe pukārā gayā mujhe
maiñ gir chukā thā apne hī auj-e-nigāh se
duniyā kī jab nigāh meñ laayā gayā mujhe
lipTī huī kitāb thā ik gard-posh meñ
lekin varaq-varaq koī phailā gayā mujhe
'mohsin' maiñ ḳhush thā soch ke ā.īna-gar huuñ maiñ
ā.īna jab talak na dikhāyā gayā mujhe
pahle falak se farsh pe phenka gaya mujhe
phir mujh se ru-shanas karaya gaya mujhe
meri sada pe kab mujhe aawaz di gai
ek ajnabi sada pe pukara gaya mujhe
main gir chuka tha apne hi auj-e-nigah se
duniya ki jab nigah mein laya gaya mujhe
lipTi hui kitab tha ek gard-posh mein
lekin waraq-waraq koi phaila gaya mujhe
'mohsin' main KHush tha soch ke aaina-gar hun main
aaina jab talak na dikhaya gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.