pahle ek parda hamare samne Dala gaya
pahle ik parda hamāre sāmne Daalā gayā
is tarah dilkash nazāra aañkh se Taalā gayā
mustaqil āñkhoñ meñ itnī raushnī Daalī ga.ī
jis kī phir bīnā.ī se bīnā.ī kā haala gayā
chāñdnī bhī tīrgī meñ tīrgī se jā milī
jugnuoñ ko paikar-e-zulmat meñ yuuñ Dhālā gayā
dil ke har goshe meñ pahle ashk-e-ḳhūñ bo.e ga.e
tab kahīñ jā kar diloñ meñ 'ishq ko paalā gayā
jism ke saare 'anāsir muntashir hone lage
jab mohabbat ko hisār-e-'aql se Taalā gayā
āḳhirash jab raaz saare faash hone vaale the
tab kahānī meñ nayā kirdār ik Daalā gayā
pahle ek parda hamare samne Dala gaya
is tarah dilkash nazara aankh se Tala gaya
mustaqil aankhon mein itni raushni Dali gai
jis ki phir binai se binai ka haala gaya
chandni bhi tirgi mein tirgi se ja mili
jugnuon ko paikar-e-zulmat mein yun Dhaala gaya
dil ke har goshe mein pahle ashk-e-KHun boe gae
tab kahin ja kar dilon mein 'ishq ko pala gaya
jism ke sare 'anasir muntashir hone lage
jab mohabbat ko hisar-e-'aql se Tala gaya
aaKHirash jab raaz sare fash hone wale the
tab kahani mein naya kirdar ek Dala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.