pahle jin sanchon se hum katraate hain
pahle jin sāñchoñ se ham katrāte haiñ
vaqt ke saath inhī meñ Dhalte jaate haiñ
ek hī zardī kyuuñ mausam par chhā.ī hai
sātoñ rañg palaT kar kyuuñ nahīñ aate haiñ
ham se to bas ek masāfat saath nibhā
kaun haiñ jo umroñ kī qasmeñ khāte haiñ
din bhar us dīvār se lag ke ro.eñge
shab bhar jis ko dil kā haal sunāte haiñ
mustaqbil tālāb ki jis ke paanī meñ
andeshoñ ke kaale hañs nahāte haiñ
sub.h savere āñkhoñ se ruḳhsat ho kar
kaun nagar ko ḳhvāb bhaTakne jaate haiñ
pahle jin sanchon se hum katraate hain
waqt ke sath inhi mein Dhalte jate hain
ek hi zardi kyun mausam par chhai hai
saton rang palaT kar kyun nahin aate hain
hum se to bas ek masafat sath nibha
kaun hain jo umron ki qasmen khate hain
din bhar us diwar se lag ke roenge
shab bhar jis ko dil ka haal sunate hain
mustaqbil talab ki jis ke pani mein
andeshon ke kale hans nahate hain
subh sawere aankhon se ruKHsat ho kar
kaun nagar ko KHwab bhaTakne jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.