pahle jo thi wo dil ki mere baat bhi nahin
pahle jo thī vo dil kī mire baat bhī nahīñ
kuchh sāzgār in dinoñ hālāt bhī nahīñ
kyā dil kā haal hogā ḳhudā jaane tā-sahar
pahlī sī ab vo tāroñ bharī raat bhī nahīñ
ham ne vafā kā un ko dikhāyā hai aa.ina
is meñ to barhamī kī koī baat bhī nahīñ
sab log ajnabī haiñ yahāñ kis ko deñ sadā
is shahr meñ kisī se mulāqāt bhī nahīñ
kis ko sunā.eñ kaun sune kyā pata chale
dilchasp zindagī kī hikāyāt bhī nahīñ
ham kyā kisī se baat kareñ mehr-o-māh kī
raushan to ḳhud hamāre ḳhayālāt bhī nahīñ
'ahmad' ba-qadr-e-zarf haiñ āsūda sab yahāñ
tishna to koī rind-e-ḳharābāt bhī nahīñ
pahle jo thi wo dil ki mere baat bhi nahin
kuchh sazgar in dinon haalat bhi nahin
kya dil ka haal hoga KHuda jaane ta-sahar
pahli si ab wo taron bhari raat bhi nahin
hum ne wafa ka un ko dikhaya hai aaina
is mein to barhami ki koi baat bhi nahin
sab log ajnabi hain yahan kis ko den sada
is shahr mein kisi se mulaqat bhi nahin
kis ko sunaen kaun sune kya pata chale
dilchasp zindagi ki hikayat bhi nahin
hum kya kisi se baat karen mehr-o-mah ki
raushan to KHud hamare KHayalat bhi nahin
'ahmad' ba-qadr-e-zarf hain aasuda sab yahan
tishna to koi rind-e-KHarabaat bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.