pahle kuchh din mere zaKHmon ki numaish hogi
pahle kuchh din mire zaḳhmoñ kī numā.ish hogī
phir mire haal pe us but kī navāzish hogī
haañ ba-zāhir to dharā jā.egā qātil lekin
pas-e-parda usī qātil kī sifārish hogī
pyāsī dhartī yūñhī pyāsī hī rahegī yaaro
aur dariyā pe musalsal yahāñ bārish hogī
jis tarah TuuTe hue patte bikhar jaate haiñ
ham bikhar jaa.eñ usī taur ye sāzish hogī
kis ko ma.alūm hai jo rāz-e-mashiyyat hai 'obaid'
jaane kis baat pe kis shaḳhs kī baḳhshish hogī
pahle kuchh din mere zaKHmon ki numaish hogi
phir mere haal pe us but ki nawazish hogi
han ba-zahir to dhara jaega qatil lekin
pas-e-parda usi qatil ki sifarish hogi
pyasi dharti yunhi pyasi hi rahegi yaro
aur dariya pe musalsal yahan barish hogi
jis tarah TuTe hue patte bikhar jate hain
hum bikhar jaen usi taur ye sazish hogi
kis ko malum hai jo raaz-e-mashiyyat hai 'obaid'
jaane kis baat pe kis shaKHs ki baKHshish hogi
- Book : Aawaz Ke Saye (Poetry) (Pg. 69)
- Author : Obaidur Rahman
- Publication : Sehla Obaid (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.