pahle main dhup panw tale raund kar gaya
pahle maiñ dhuup paañv tale rauñd kar gayā
phir rāste meñ apne hī saa.e se Dar gayā
yā apne sar kī ḳhair manā varna jhuuT bol
haq baat jis ne kī hai yahāñ daar par gayā
ye kaise mausamoñ kā asar aa gayā ki ab
chehre se rang aur du'ā se asar gayā
chaltā na thā zamīñ kī taraf dekh kar jo kal
Thokar lagī kuchh aisī ki nashsha utar gayā
'sarshār' ab patang uḌāne se fā.eda
'sarshār' ab basant kā mausam guzar gayā
pahle main dhup panw tale raund kar gaya
phir raste mein apne hi sae se Dar gaya
ya apne sar ki KHair mana warna jhuT bol
haq baat jis ne ki hai yahan dar par gaya
ye kaise mausamon ka asar aa gaya ki ab
chehre se rang aur du'a se asar gaya
chalta na tha zamin ki taraf dekh kar jo kal
Thokar lagi kuchh aisi ki nashsha utar gaya
'sarshaar' ab patang uDane se faeda
'sarshaar' ab basant ka mausam guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.