pahle mere panw mein zanjir-e-isyan dekhiye
pahle mere panw mein zanjir-e-isyan dekhiye
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
pahle mere paañv meñ zanjīr-e-isyāñ dekhiye
phir tamāshā-e-tilism-e-bazm-e-imkāñ dekhiye
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-jigar kā naqsh-e-uryāñ dekhiye
apne muñh se kyā kahūñ rang-e-gulistāñ dekhiye
aur sab kuchh hai yahāñ insāniyat mafqūd hai
ab tasavvur meñ faqat insāñ ko insāñ dekhiye
tuur ho yā arsh donoñ hī dil-e-insāñ meñ haiñ
us ko apnī zaat meñ nazd-e-rag-e-jāñ dekhiye
chāñd par Daale kamandeñ aur ḳhud se be-ḳhabar
dekhiye kotāhī-e-idrāk-e-insāñ dekhiye
aag meñ gir jā.iye mohkam agar īmān hai
aur phir sho.aloñ meñ andāz-e-gulistāñ dekhiye
be-kasī meñ tarjumān-e-hāl-e-dil hotā hai ġham
merī ḳhāmoshī hai afsāne kā unvāñ dekhiye
pahle mere panw mein zanjir-e-isyan dekhiye
phir tamasha-e-tilism-e-bazm-e-imkan dekhiye
KHun-e-dil KHun-e-jigar ka naqsh-e-uryan dekhiye
apne munh se kya kahun rang-e-gulistan dekhiye
aur sab kuchh hai yahan insaniyat mafqud hai
ab tasawwur mein faqat insan ko insan dekhiye
tur ho ya arsh donon hi dil-e-insan mein hain
us ko apni zat mein nazd-e-rag-e-jaan dekhiye
chand par Dale kamanden aur KHud se be-KHabar
dekhiye kotahi-e-idrak-e-insan dekhiye
aag mein gir jaiye mohkam agar iman hai
aur phir shoalon mein andaz-e-gulistan dekhiye
be-kasi mein tarjuman-e-haal-e-dil hota hai gham
meri KHamoshi hai afsane ka unwan dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.