pahle pahle sab kuchh mushkil lagta hai
pahle pahle sab kuchh mushkil lagtā hai
phir ik 'arse baa'd meñ ye dil lagtā hai
jin logoñ kī manzil sundar hotī hai
un logoñ ko rastā manzil lagtā hai
vo jo mahfil meñ bhī tanhā hotā hai
tanhā hotā hai to mahfil lagtā hai
jis din tum se achchhī bāteñ hotī haiñ
saarā ambar jhilmil jhilmil lagtā hai
jo kahtā hai 'aurat bas ghar dekhegī
laakh paḌhā likkhā ho jāhil lagtā hai
mājhī kā gar dil dariyā meñ lag jaa.e
phir us ko har qatra sāhil lagtā hai
achchhā paḌhne likhne vaalā vo shā'ir
chāhe muflis ho par qābil lagtā hai
vo kuchh apnoñ kī ḳhātir sab sahtā hai
chhoḌo tum ko to bas buzdil lagtā hai
pahle pahle sab kuchh mushkil lagta hai
phir ek 'arse ba'd mein ye dil lagta hai
jin logon ki manzil sundar hoti hai
un logon ko rasta manzil lagta hai
wo jo mahfil mein bhi tanha hota hai
tanha hota hai to mahfil lagta hai
jis din tum se achchhi baaten hoti hain
sara ambar jhilmil jhilmil lagta hai
jo kahta hai 'aurat bas ghar dekhegi
lakh paDha likkha ho jahil lagta hai
majhi ka gar dil dariya mein lag jae
phir us ko har qatra sahil lagta hai
achchha paDhne likhne wala wo sha'ir
chahe muflis ho par qabil lagta hai
wo kuchh apnon ki KHatir sab sahta hai
chhoDo tum ko to bas buzdil lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.