pahle sa rang-rup tumhaara nahin raha
pahle sā rang-rūp tumhārā nahīñ rahā
duniyā meñ aur kuchh bhī hamārā nahīñ rahā
aise nikal gayā hai hudūd-o-quyūd se
dariyā ke ār-pār kinārā nahīñ rahā
tujh se bichhaḌ ke dil kā vo nuqsān ho gayā
ab to koī ḳhasāra ḳhasāra nahīñ rahā
chāroñ taraf hai surḳh ishāroñ kā jamghaTā
raste meñ koī sabz ishāra nahīñ rahā
vo sab ke sab falak ne haiñ uupar uThā liye
zer-e-zamīn koī sitāra nahīñ rahā
aadhā gañvā ke aap kī chīḳh-o-pukār hai
lekin hamāre paas to saarā nahīñ rahā
kitnā paḌā hai farq mirī maañ kī maut se
ab maiñ kisī kī aañkh kā taarā nahīñ rahā
le jā rahe ho kaise mirā dil nikāl kar
kyā maiñ tumhārā saare kā saarā nahīñ rahā
miTTī meñ jā milā hai sikandar bhī jiit kar
aisā nahīñ ki haar ke daarā nahīñ rahā
yaḳh-basta pāniyoñ kī tarah jam ke rah gayā
jab se lahū meñ koī sharāra nahīñ rahā
kuchh aur sar-phiroñ ko bhī vahshat ne aa liyā
majnūñ kā dasht par vo ijāra nahīñ rahā
'mas.ūd' apne paaoñ par ham kyā khaḌe hue
baisākhiyoñ kā koī sahārā nahīñ rahā
pahle sa rang-rup tumhaara nahin raha
duniya mein aur kuchh bhi hamara nahin raha
aise nikal gaya hai hudud-o-quyud se
dariya ke aar-par kinara nahin raha
tujh se bichhaD ke dil ka wo nuqsan ho gaya
ab to koi KHasara KHasara nahin raha
chaaron taraf hai surKH ishaaron ka jamghaTa
raste mein koi sabz ishaara nahin raha
wo sab ke sab falak ne hain upar uTha liye
zer-e-zamin koi sitara nahin raha
aadha ganwa ke aap ki chiKH-o-pukar hai
lekin hamare pas to sara nahin raha
kitna paDa hai farq meri man ki maut se
ab main kisi ki aankh ka tara nahin raha
le ja rahe ho kaise mera dil nikal kar
kya main tumhaara sare ka sara nahin raha
miTTi mein ja mila hai sikandar bhi jit kar
aisa nahin ki haar ke dara nahin raha
yaKH-basta paniyon ki tarah jam ke rah gaya
jab se lahu mein koi sharara nahin raha
kuchh aur sar-phiron ko bhi wahshat ne aa liya
majnun ka dasht par wo ijara nahin raha
'masud' apne paon par hum kya khaDe hue
baisakhiyon ka koi sahaara nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.