pahle sabit karen is wahshi ki taqsiren do
pahle sabit karen is wahshi ki taqsiren do
Shams-Un-Nisa Begum Sharm
MORE BYShams-Un-Nisa Begum Sharm
pahle sābit kareñ is vahshī kī taqsīreñ do
kyuuñ mire paañv meñ pahnāte haiñ zanjīreñ do
donoñ zulfoñ kā tirī aayā jo vahshat meñ ḳhayāl
paḌ ga.iiñ paañv meñ mere vahīñ zanjīreñ do
kahāñ qāsid ne ki laayā huuñ maiñ paiġhām-e-visāl
aaj ḳhil.at mujhe pahnāo ki jāgīreñ do
dard-e-dil dard huā siina kī sozish bhī ga.ī
sharbat-e-vasl meñ tere haiñ ye tāsīreñ do
yā bahāne se bulā.eñ use yā ḳhat hī likheñ
'sharm' kyā ḳhuub ye sūjhīñ hameñ tadbīreñ do
pahle sabit karen is wahshi ki taqsiren do
kyun mere panw mein pahnate hain zanjiren do
donon zulfon ka teri aaya jo wahshat mein KHayal
paD gain panw mein mere wahin zanjiren do
kahan qasid ne ki laya hun main paigham-e-visal
aaj KHilat mujhe pahnao ki jagiren do
dard-e-dil dard hua sina ki sozish bhi gai
sharbat-e-wasl mein tere hain ye tasiren do
ya bahane se bulaen use ya KHat hi likhen
'sharm' kya KHub ye sujhin hamein tadbiren do
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 157)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.