pahle sadmat ke dariya mein utara KHud ko
pahle sadmāt ke dariyā meñ utārā ḳhud ko
aur phir baḌh ke diyā maiñ ne sahārā ḳhud ko
ban-sañvar kar vo chalā jaatā hai lekin ghanToñ
aa.ina dekhtā rahtā hai bechāra ḳhud ko
Dūbne vāloñ ko baḌh kar ye bachātā kyoñ nahīñ
itnā bebas kyoñ samajhtā hai kinārā ḳhud ko
vo mirī zaat kā hissa hai chhupā hai mujh meñ
maiñ ne ye soch ke har baar pukārā ḳhud ko
mujh se mil kar tirī sūrat nikhar aa.ī kitnī
ġhaur se dekhā nahīñ tū ne dobārā ḳhud ko
kitne asrār khule mehr-o-vafā ke mujh par
ātish-e-ishq se jab maiñ ne guzārā ḳhud ko
apne jalvoñ se kabhī us ne nikhārā hai mujhe
le ke añgḌā.ī kabhī us ne sañvārā ḳhud ko
aadī us ne jo banāyā hai mujhe apnā 'fahīm'
maiñ baġhair us ke nahīñ kartā gavārā ḳhud ko
pahle sadmat ke dariya mein utara KHud ko
aur phir baDh ke diya main ne sahaara KHud ko
ban-sanwar kar wo chala jata hai lekin ghanTon
aaina dekhta rahta hai bechaara KHud ko
Dubne walon ko baDh kar ye bachata kyon nahin
itna bebas kyon samajhta hai kinara KHud ko
wo meri zat ka hissa hai chhupa hai mujh mein
main ne ye soch ke har bar pukara KHud ko
mujh se mil kar teri surat nikhar aai kitni
ghaur se dekha nahin tu ne dobara KHud ko
kitne asrar khule mehr-o-wafa ke mujh par
aatish-e-ishq se jab main ne guzara KHud ko
apne jalwon se kabhi us ne nikhaara hai mujhe
le ke angDai kabhi us ne sanwara KHud ko
aadi us ne jo banaya hai mujhe apna 'fahim'
main baghair us ke nahin karta gawara KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.