pahle samundaron mein utara gaya mujhe
pahle samundaroñ meñ utārā gayā mujhe
phir pyaas kī hadoñ se guzārā gayā mujhe
dekhā to kuchh nahīñ thā vahāñ dasht ke sivā
phir bhī lagā ki jaise pukārā gayā mujhe
'umr-e-ravāñ ne pūchh liyā mujh se ek din
kyoñ be-dilī ke saath guzārā gayā mujhe
pahle vo merī maut pe ḳhud mutma.in huā
phir daar se zamīñ pe utārā gayā mujhe
baazī ko jītne kī havas meñ bisāt par
afsos jān-būjh ke haarā gayā mujhe
yuuñ hī maiñ us kī bazm se uTh kar nahīñ gayā
dar-asl pahle us kā ishāra gayā mujhe
kuchh maiñ bhī tez-gām nahīñ thā kuchh ai 'nafas'
pur-ḳhār rāstoñ se guzārā gayā mujhe
pahle samundaron mein utara gaya mujhe
phir pyas ki hadon se guzara gaya mujhe
dekha to kuchh nahin tha wahan dasht ke siwa
phir bhi laga ki jaise pukara gaya mujhe
'umr-e-rawan ne puchh liya mujh se ek din
kyon be-dili ke sath guzara gaya mujhe
pahle wo meri maut pe KHud mutmain hua
phir dar se zamin pe utara gaya mujhe
bazi ko jitne ki hawas mein bisat par
afsos jaan-bujh ke haara gaya mujhe
yun hi main us ki bazm se uTh kar nahin gaya
dar-asl pahle us ka ishaara gaya mujhe
kuchh main bhi tez-gam nahin tha kuchh ai 'nafas'
pur-KHar raston se guzara gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.