pahle se dekhna kahin behtar banaenge
![Syed Aminul Hasan Mohani Bismil Syed Aminul Hasan Mohani Bismil](https://www.rekhta.org/Content/Images/quillm.png)
pahle se dekhna kahin behtar banaenge
Syed Aminul Hasan Mohani Bismil
MORE BYSyed Aminul Hasan Mohani Bismil
pahle se dekhnā kahīñ behtar banā.eñge
ab apnā ek aur muqaddar banā.eñge
bigḌe hue haiñ zid pe haiñ kaun un se kyā kahe
is vaqt baat baat ke daftar banā.eñge
dekheñge apne dil ke tahammul kī kaifiyat
ham un ko aur chheḌ ke ḳhud-sar banā.eñge
aane to do bahār kā mausam junūñ ke din
apne liye ham aap hī nashtar banā.eñge
bismil chaleñge aaj dar-e-yār tak zarūr
pazhmurda dil ko tere gul-e-tar banā.eñge
pahle se dekhna kahin behtar banaenge
ab apna ek aur muqaddar banaenge
bigDe hue hain zid pe hain kaun un se kya kahe
is waqt baat baat ke daftar banaenge
dekhenge apne dil ke tahammul ki kaifiyat
hum un ko aur chheD ke KHud-sar banaenge
aane to do bahaar ka mausam junun ke din
apne liye hum aap hi nashtar banaenge
bismil chalenge aaj dar-e-yar tak zarur
pazhmurda dil ko tere gul-e-tar banaenge
- Book : Noquush (Pg. B-390 E400)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.