pahle se ishq ke wo zamane nahin rahe
pahle se 'ishq ke vo zamāne nahīñ rahe
ham jaise 'āshiqoñ ke Thikāne nahīñ rahe
nafrat kī āñdhiy.oñ meñ giraftār ho ga.e
hoñToñ pe chāhatoñ ke tarāne nahīñ rahe
ham ne bhī chhoḌ dī vo hasīnoñ kī rah-guzar
bhauñre bhī phuul ke ye divāne nahīñ rahe
manzar hasīn ḳhvāboñ ke dil se utar ga.e
mausam bhī bārishoñ ke suhāne nahīñ rahe
tahzībeñ zindagī kī ye pāmāl ho ga.iiñ
mahfil meñ log jab se purāne nahīñ rahe
'ābid' haiñ kaun sī ye rivāyat ke silsile
sīnoñ meñ ulfatoñ ke ḳhazāne nahīñ rahe
pahle se 'ishq ke wo zamane nahin rahe
hum jaise 'ashiqon ke Thikane nahin rahe
nafrat ki aandhiyon mein giraftar ho gae
honTon pe chahaton ke tarane nahin rahe
hum ne bhi chhoD di wo hasinon ki rah-guzar
bhaunre bhi phul ke ye diwane nahin rahe
manzar hasin KHwabon ke dil se utar gae
mausam bhi barishon ke suhane nahin rahe
tahziben zindagi ki ye pamal ho gain
mahfil mein log jab se purane nahin rahe
'abid' hain kaun si ye riwayat ke silsile
sinon mein ulfaton ke KHazane nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.