pahle se pairahan mera itna udas aur
pahle se pairahan mirā itnā udaas aur
phir pairahan ke husn pe dukh kā libās aur
kyā ḳhud-kushī sabhī ko ye āvāz detī haiñ
aa paTriyoñ ke paas aa thoḌā sā paas aur
donoñ ko mat milā.iye āñkheñ hoñ yā sharāb
sahrā kī pyaas aur hai dariyā kī pyaas aur
aage bhī kaaT leñge tire bin ye zindagī
jab itnī pī chuke haiñ to ik do gilās aur
in āñsuoñ ne chhoḌ dī hoñToñ pe kuchh namī
yā'nī shahd se juḌ ga.ī guḌ kī miThās aur
pahle se pairahan mera itna udas aur
phir pairahan ke husn pe dukh ka libas aur
kya KHud-kushi sabhi ko ye aawaz deti hain
aa paTriyon ke pas aa thoDa sa pas aur
donon ko mat milaiye aankhen hon ya sharab
sahra ki pyas aur hai dariya ki pyas aur
aage bhi kaT lenge tere bin ye zindagi
jab itni pi chuke hain to ek do gilas aur
in aansuon ne chhoD di honTon pe kuchh nami
ya'ni shahd se juD gai guD ki miThas aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.