pahle socha nahin jaunga par gaya hun meri rahiba
pahle sochā nahīñ jā.uñgā par gayā huuñ mirī rāhiba
kaam jo the nahīñ ho rahe kar gayā huuñ mirī rāhiba
ik diyā rakh ke aayā huuñ maiñ tere mā'bad kī dīvār par
aur tire naam kā tel bhī bhar gayā huuñ mirī rāhiba
kuchh havārī tirī pusht par zaḳhm karte dikhā.ī diye
sach kahūñ to maiñ is ḳhvāb se Dar gayā huuñ mirī rāhiba
tai kiyā thā ḳhudāvand ko pahlī fursat meñ DhūñDūñ magar
maiñ tujhe DhūñDte DhūñDte mar gayā huuñ mirī rāhiba
phir kalīsā ke bargad tale aaj kā din guzārā gayā
aaj phir raat ko der se ghar gayā huuñ mirī rāhiba
pahle socha nahin jaunga par gaya hun meri rahiba
kaam jo the nahin ho rahe kar gaya hun meri rahiba
ek diya rakh ke aaya hun main tere ma'bad ki diwar par
aur tere nam ka tel bhi bhar gaya hun meri rahiba
kuchh hawari teri pusht par zaKHm karte dikhai diye
sach kahun to main is KHwab se Dar gaya hun meri rahiba
tai kiya tha KHudawand ko pahli fursat mein DhunDun magar
main tujhe DhunDte DhunDte mar gaya hun meri rahiba
phir kalisa ke bargad tale aaj ka din guzara gaya
aaj phir raat ko der se ghar gaya hun meri rahiba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.