pahle suljha tha magar baad mein uljha hoga
pahle suljhā thā magar baa'd meñ uljhā hogā
aap se haarā har ik man mire man sā hogā
maiñ ne dīvāroñ kī aahaT to sunī hai shāyad
andar un ke koī dil bhī to dhaḌaktā hogā
tujh pe mañDrātā rahā saañs ko chhūne ke liye
terī ḳhushbū se yuuñ bhañvre ko mahaknā hogā
'ishq meñ honā gavāhī hai mire hone kī
aur kyā 'ishq se mere liye achchhā hogā
ab talak Duubā huā huuñ maiñ isī soch meñ jaan
kyā tujhe chhūnā mirā 'ishq meñ dhoka hogā
pahle suljha tha magar ba'd mein uljha hoga
aap se haara har ek man mere man sa hoga
main ne diwaron ki aahaT to suni hai shayad
andar un ke koi dil bhi to dhaDakta hoga
tujh pe manDraata raha sans ko chhune ke liye
teri KHushbu se yun bhanwre ko mahakna hoga
'ishq mein hona gawahi hai mere hone ki
aur kya 'ishq se mere liye achchha hoga
ab talak Duba hua hun main isi soch mein jaan
kya tujhe chhuna mera 'ishq mein dhoka hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.