pahle teri jeb TaToli jaegi
pahle terī jeb TaTolī jā.egī
phir yaarī kī bhāshā bolī jā.egī
terī tah lī jā.egī tatpartā se
ḳhud ke man kī gāñTh na kholī jā.egī
naitiktā kī mailī hotī ye chādar
daulat ke sābun se dho lī jā.egī
TuuTī ik ummīd pe ye mātam kaisā
phir koī ummīd sañjo lī jā.egī
kaun tumhārā dukh apnā dukh samjhegā
dikhlāne ko aañkh bhigo lī jā.egī
kah de kah de phir muskā kar kah de tū
tere hī ghar merī Dolī jā.egī
jhūTī shaan 'akelā' kitne din kī hai
ek hī bārish meñ rangolī jā.egī
pahle teri jeb TaToli jaegi
phir yari ki bhasha boli jaegi
teri tah li jaegi tatparta se
KHud ke man ki ganTh na kholi jaegi
naitikta ki maili hoti ye chadar
daulat ke sabun se dho li jaegi
TuTi ek ummid pe ye matam kaisa
phir koi ummid sanjo li jaegi
kaun tumhaara dukh apna dukh samjhega
dikhlane ko aankh bhigo li jaegi
kah de kah de phir muska kar kah de tu
tere hi ghar meri Doli jaegi
jhuTi shan 'akela' kitne din ki hai
ek hi barish mein rangoli jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.