pahle to apne husn se ghayal kiya mujhe
pahle to apne husn se ghāyal kiyā mujhe
marham lagā ke baa'd meñ pāgal kiyā mujhe
chādar thā maiñ ghisī huī mujh meñ tapish na thī
kal raat us ne oḌh ke kambal kiyā mujhe
kah bhī rahā thā ḳhaak huuñ mujh ko namī na de
kūza-garī kī aaḌ meñ daldal kiyā mujhe
pahle to merī ruuh ko dil meñ chhupā liyā
phir ḳhud kivāḌ ban ga.ī sāñkal kiyā mujhe
ho kar bhī har jagah kahīñ dikhtā nahīñ huuñ maiñ
tanhā.iyoñ kī gard ne ojhal kiyā mujhe
mujh ko kisī kī yaad ne sarsabz kar diyā
us ke tavīl hijr ne jangal kiyā mujhe
aisā savāl thā maiñ ki jis kā na thā javāb
mushkil bahut thā us ne magar hal kiyā mujhe
pahle to apne husn se ghayal kiya mujhe
marham laga ke ba'd mein pagal kiya mujhe
chadar tha main ghisi hui mujh mein tapish na thi
kal raat us ne oDh ke kambal kiya mujhe
kah bhi raha tha KHak hun mujh ko nami na de
kuza-gari ki aaD mein daldal kiya mujhe
pahle to meri ruh ko dil mein chhupa liya
phir KHud kiwaD ban gai sankal kiya mujhe
ho kar bhi har jagah kahin dikhta nahin hun main
tanhaiyon ki gard ne ojhal kiya mujhe
mujh ko kisi ki yaad ne sarsabz kar diya
us ke tawil hijr ne jangal kiya mujhe
aisa sawal tha main ki jis ka na tha jawab
mushkil bahut tha us ne magar hal kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.