pahle to bahut gardish-e-dauran se laDa hun
pahle to bahut gardish-e-daurāñ se laḌā huuñ
ab kis kī tamannā hai jo maqtal meñ khaḌā huuñ
go qadr mirī bazm-e-suḳhan meñ nahīñ lekin
hiire kī tarah fan kī añgūThī meñ jaḌā huuñ
ḳhairāt meñ bāñTe the jahāñ maiñ ne sitāre
ḳhud aaj vahīñ kās-e-shab le ke khaḌā huuñ
hotā koī patthar bhī to kaam aatā junūñ ke
TuuTā huā shīsha huuñ sar-e-rāh paḌā huuñ
simTūñ to kisī siip ke siine meñ samā jā.ūñ
ai 'prem' jo phailūñ to samundar se baḌā huuñ
pahle to bahut gardish-e-dauran se laDa hun
ab kis ki tamanna hai jo maqtal mein khaDa hun
go qadr meri bazm-e-suKHan mein nahin lekin
hire ki tarah fan ki anguThi mein jaDa hun
KHairaat mein banTe the jahan main ne sitare
KHud aaj wahin kas-e-shab le ke khaDa hun
hota koi patthar bhi to kaam aata junun ke
TuTa hua shisha hun sar-e-rah paDa hun
simTun to kisi sip ke sine mein sama jaun
ai 'prem' jo phailun to samundar se baDa hun
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 105)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.