pahle to dam-e-zulf mein uljha liya mujhe
pahle to dām-e-zulf meñ uljhā liyā mujhe
bhūle se phir kabhī na dilāsā diyā mujhe
kyā dardnāk manzar-e-kashtī thā ruud meñ
maiñ nā-ḳhudā ko dekh rahā thā ḳhudā mujhe
baiThā huā hai rashk-e-masīhā mire qarīb
kas bebasī se dekh rahī hai qazā mujhe
un kā bayān merī zabāñ par jo aa gayā
lahje ne un ke kar diyā kyā ḳhush-navā mujhe
jin ko rahī sadā mire marne kī aarzū
jiine kī de rahe haiñ vahī ab du'ā mujhe
jaane kā vaqt aayā to aa.ī sadā-e-haq
muddat se aarzū thī mile ham-navā mujhe
har bām-o-dar se ek ishāra hai roz-o-shab
ne maiñ vafā ko chhoḌ sakā ne vafā mujhe
duniyā ne kitne mujh ko dikhā.e haiñ sabz baaġh
un se na koī kar sakā lekin judā mujhe
ḳhushbū se kis kī mahak rahe haiñ mashām-e-jāñ
dāman se de rahā hai koī to havā mujhe
tasvīr us ke haath meñ lab par mirī ġhazal
dekhā na ek aañkh na jis ne sunā mujhe
fard-e-amal meñ merī hoñ shāmil sab un ke jaur
un ke kiye kī shauq se diije sazā mujhe
merī vafā kā un ko mile hashr meñ sila
mil jaa.eñ un ke naam ke jaur-o-jafā mujhe
har roz mujh ko apnā badalnā paḌā javāb
roz ik sabaq paḌhātā hai qāsid nayā mujhe
dekhā tumhārī shakl meñ husn-e-azal kī zau
sajda tumhāre dar pe huā hai ravā mujhe
jhoñkā koī nasīm kā 'gulzār'-e-nāz meñ
un kā payām kaash sunā.e sabā mujhe
pahle to dam-e-zulf mein uljha liya mujhe
bhule se phir kabhi na dilasa diya mujhe
kya dardnak manzar-e-kashti tha rud mein
main na-KHuda ko dekh raha tha KHuda mujhe
baiTha hua hai rashk-e-masiha mere qarib
kas bebasi se dekh rahi hai qaza mujhe
un ka bayan meri zaban par jo aa gaya
lahje ne un ke kar diya kya KHush-nawa mujhe
jin ko rahi sada mere marne ki aarzu
jine ki de rahe hain wahi ab du'a mujhe
jaane ka waqt aaya to aai sada-e-haq
muddat se aarzu thi mile ham-nawa mujhe
har baam-o-dar se ek ishaara hai roz-o-shab
ne main wafa ko chhoD saka ne wafa mujhe
duniya ne kitne mujh ko dikhae hain sabz bagh
un se na koi kar saka lekin juda mujhe
KHushbu se kis ki mahak rahe hain masham-e-jaan
daman se de raha hai koi to hawa mujhe
taswir us ke hath mein lab par meri ghazal
dekha na ek aankh na jis ne suna mujhe
fard-e-amal mein meri hon shamil sab un ke jaur
un ke kiye ki shauq se dije saza mujhe
meri wafa ka un ko mile hashr mein sila
mil jaen un ke nam ke jaur-o-jafa mujhe
har roz mujh ko apna badalna paDa jawab
roz ek sabaq paDhata hai qasid naya mujhe
dekha tumhaari shakl mein husn-e-azal ki zau
sajda tumhaare dar pe hua hai rawa mujhe
jhonka koi nasim ka 'gulzar'-e-naz mein
un ka payam kash sunae saba mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.