pahle to dastan mukammal dikha koi
pahle to dāstān mukammal dikhā koī
phir ek se hī kyā ho musalsal dikhā koī
TuuTā hai aaj aaj jo is ko maiñ ro to luuñ
ai zindagī tū ḳhvāb nayā kal dikhā koī
kyā haiñ musībateñ ye batāne kā shukriya
ab ye batāo in kā tumheñ hal dikhā koī
vo hāl-e-dil sunā ke mujhe royā der tak
jab maiñ ne bas kahā thā ki jangal dikhā koī
mujh ko bhī ġham se naam kamānā sikhā zarā
jo shā'irī ke reel haiñ viral dikhā koī
duniyā jahāñ ko chhān liyā hai magar kahīñ
'fānī' tumhāre jaisā na pāgal dikhā koī
pahle to dastan mukammal dikha koi
phir ek se hi kya ho musalsal dikha koi
TuTa hai aaj aaj jo is ko main ro to lun
ai zindagi tu KHwab naya kal dikha koi
kya hain musibaten ye batane ka shukriya
ab ye batao in ka tumhein hal dikha koi
wo haal-e-dil suna ke mujhe roya der tak
jab main ne bas kaha tha ki jangal dikha koi
mujh ko bhi gham se nam kamana sikha zara
jo sha'iri ke reel hain wiral dikha koi
duniya jahan ko chhan liya hai magar kahin
'fani' tumhaare jaisa na pagal dikha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.