pahle to dekha aankh-bhar usne
pahle to dekhā āñkh-bhar us ne
phir qalam kar diyā thā sar us ne
sabr kartā to chhāyā bhī detā
jaldī kaaTā hai ye shajar us ne
kuchh bachā bhī nahīñ gayā bhī nahīñ
is tarah luuTā merā ghar us ne
bolne ko abhī nahīñ pal bhī
kī kabhī baat rāt-bhar us ne
jāntā hī nahīñ mujhe jaise
pher lī is tarah nazar us ne
dhar rahā hai vo tohmateñ mujh par
pahle kī thī agar-magar us ne
mujh pe ilzām sau lagā dekho
kar diyā mujh ko nāmvar us ne
baat kartā hai apne matlab se
kitnā rakkhā hai muntazir us ne
jaise kapḌe koī badaltā hai
aise badle haiñ ham-safar us ne
toltā hai vo pyaar daulat se
ḳhud ko tolā nahīñ magar us ne
pahle to dekha aankh-bhar us ne
phir qalam kar diya tha sar us ne
sabr karta to chhaya bhi deta
jaldi kaTa hai ye shajar us ne
kuchh bacha bhi nahin gaya bhi nahin
is tarah luTa mera ghar us ne
bolne ko abhi nahin pal bhi
ki kabhi baat raat-bhar us ne
jaanta hi nahin mujhe jaise
pher li is tarah nazar us ne
dhar raha hai wo tohmaten mujh par
pahle ki thi agar-magar us ne
mujh pe ilzam sau laga dekho
kar diya mujh ko namwar us ne
baat karta hai apne matlab se
kitna rakkha hai muntazir us ne
jaise kapDe koi badalta hai
aise badle hain ham-safar us ne
tolta hai wo pyar daulat se
KHud ko tola nahin magar us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.