pahle to faqat us ka talabgar hua main
pahle to faqat us kā talabgār huā maiñ
phir ishq meñ ḳhud apne giraftār huā maiñ
āñkhoñ meñ basā jab bhī koī ajnabī chehra
ik lazzat-e-be-nām se do-chār huā maiñ
maiñ yūsuf-e-sānī na 'zuleḳhā' na vo darbār
kyā soch ke rusvā sar-e-bāzār huā maiñ
ik umr bagūloñ ke ta.āqub meñ guzārī
phir apnī hī parchhā.īñ se bezār huā maiñ
maiñ munsif-e-daurāñ na faqīhoñ meñ huuñ shāmil
kis jurm meñ be-jubba-o-dastār huā maiñ
haq-goī kī pādāsh meñ mansūr kī sūrat
har daur meñ vaqf-e-rasan-o-dār huā maiñ
maiñ apne hī hone se gurezāñ huā 'ḳhusrav'
iqrār kī sūrat kabhī inkār huā maiñ
pahle to faqat us ka talabgar hua main
phir ishq mein KHud apne giraftar hua main
aankhon mein basa jab bhi koi ajnabi chehra
ek lazzat-e-be-nam se do-chaar hua main
main yusuf-e-sani na 'zuleKHa' na wo darbar
kya soch ke ruswa sar-e-bazar hua main
ek umr bagulon ke taaqub mein guzari
phir apni hi parchhain se bezar hua main
main munsif-e-dauran na faqihon mein hun shamil
kis jurm mein be-jubba-o-dastar hua main
haq-goi ki padash mein mansur ki surat
har daur mein waqf-e-rasan-o-dar hua main
main apne hi hone se gurezan hua 'KHusraw'
iqrar ki surat kabhi inkar hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.