pahle to ek charagh jalaya hai der tak
pahle to ik charāġh jalāyā hai der tak
phir baad meñ havā se bachāyā hai der tak
mujh pe nazar thī mere raqīboñ kī is liye
maiñ ne bhī ḳhuub rang jamāyā hai der tak
jis ne ye kah diyā maiñ kisī kaam kā nahīñ
ehsās us ko apnā karāyā hai der tak
guzrā nahīñ thā shaḳhs jo mere qarīb se
us ne bulā ke paas biThāyā hai der tak
kar luuñ yaqīn us pe magar mas.ala hai ye
be-vajah us ne haath milāyā hai der tak
paanī se dho liye the sabhī daaġh jism ke
dāman kā daaġh us ne chhuḌāyā hai der tak
kuchh to lahū kā rang bhī halkā nikal gayā
kuchh vaqt ne bhī khel dikhāyā hai der tak
pahle to ek charagh jalaya hai der tak
phir baad mein hawa se bachaya hai der tak
mujh pe nazar thi mere raqibon ki is liye
main ne bhi KHub rang jamaya hai der tak
jis ne ye kah diya main kisi kaam ka nahin
ehsas us ko apna karaya hai der tak
guzra nahin tha shaKHs jo mere qarib se
us ne bula ke pas biThaya hai der tak
kar lun yaqin us pe magar masala hai ye
be-wajah us ne hath milaya hai der tak
pani se dho liye the sabhi dagh jism ke
daman ka dagh us ne chhuDaya hai der tak
kuchh to lahu ka rang bhi halka nikal gaya
kuchh waqt ne bhi khel dikhaya hai der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.