pahle to jasta jasta bhul gaya
pahle to jasta jasta bhuul gayā
aur phir saarā rasta bhuul gayā
bun rahā thā maiñ jaal ḳhvāboñ kā
bāhar aane kā rasta bhuul gayā
shahr-e-dil se chalā gayā ik shaḳhs
ā.īna ik shikasta bhuul gayā
haañ ḳharīdā thā ishq kā saudā
vo thā mahñgā ki sastā bhuul gayā
maktab-e-ishq aa gayā huuñ maiñ
dil-e-nādāñ kā basta bhuul gayā
husn kī bārgāh meñ ai 'sa.īd'
tū bhī thā dast-basta bhuul gayā
pahle to jasta jasta bhul gaya
aur phir sara rasta bhul gaya
bun raha tha main jal KHwabon ka
bahar aane ka rasta bhul gaya
shahr-e-dil se chala gaya ek shaKHs
aaina ek shikasta bhul gaya
han KHarida tha ishq ka sauda
wo tha mahnga ki sasta bhul gaya
maktab-e-ishq aa gaya hun main
dil-e-nadan ka basta bhul gaya
husn ki bargah mein ai 'said'
tu bhi tha dast-basta bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.