pahle to shahr bhar mein andhera kiya gaya
pahle to shahr bhar meñ añdherā kiyā gayā
phir ham se raushnī kā taqāzā kiyā gayā
pahle to sāzishoñ se hameñ dī ga.ī shikast
phir ḳhuub is shikast kā charchā kiyā gayā
ik shaḳhs ke liye mirī bastī kā rāsta
kachche makāñ girā ke kushāda kiyā gayā
pahle to mujh ko raah batā.ī ga.ī ġhalat
phir merī gumrahī kā tamāshā kiyā gayā
duniyā na thī jo pyaar ke qābil to kis liye
ham ko asīr-e-ḳhvāhish-e-duniyā kiyā gayā
is gulshan-e-hayāt meñ rañg-e-ḳhizāñ ke saath
ik mausam-e-bahār bhī paidā kiyā gayā
āñkhoñ ko āñsuoñ ke javāhar diye ga.e
dil ke sipurd ġham kā ḳhazāna kiyā gayā
duniyā hamāre qatl ko kahtī hai ḳhud-kushī
marne ke baa'd bhī hameñ rusvā kiyā gayā
'shāhid' likhā gayā thā hamāre hī ḳhuun se
tasnīf jab vafā kā sahīfa kiyā gayā
pahle to shahr bhar mein andhera kiya gaya
phir hum se raushni ka taqaza kiya gaya
pahle to sazishon se hamein di gai shikast
phir KHub is shikast ka charcha kiya gaya
ek shaKHs ke liye meri basti ka rasta
kachche makan gira ke kushada kiya gaya
pahle to mujh ko rah batai gai ghalat
phir meri gumrahi ka tamasha kiya gaya
duniya na thi jo pyar ke qabil to kis liye
hum ko asir-e-KHwahish-e-duniya kiya gaya
is gulshan-e-hayat mein rang-e-KHizan ke sath
ek mausam-e-bahaar bhi paida kiya gaya
aankhon ko aansuon ke jawahar diye gae
dil ke sipurd gham ka KHazana kiya gaya
duniya hamare qatl ko kahti hai KHud-kushi
marne ke ba'd bhi hamein ruswa kiya gaya
'shahid' likha gaya tha hamare hi KHun se
tasnif jab wafa ka sahifa kiya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.