pahle to un ko uDne uDane ki paD gai
pahle to un ko uDne uDane ki paD gai
Zubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
MORE BYZubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
pahle to un ko uḌne uḌāne kī paḌ ga.ī
phir āsmāñ zamīn pe laane kī paḌ ga.ī
kyā kyā gañvā diyā hai mohabbat meñ aaj tak
ik din mujhe hisāb lagāne kī paḌ ga.ī
ab tak qadīm zaḳhm harārat meñ the mire
zālim ko apnā zulm baḌhāne kī paḌ ga.ī
jiddat ġham-e-hayāt kī dil meñ liye hue
maiñ ro rahā thā us ko hañsāne kī paḌ ga.ī
iz.hār-e-ishq karne hī vaalā thā un se meñ
vāpas unheñ to aate hī jaane paḌ ga.ī
maiñ bhī lahūluhān huuñ vo bhuul hī gayā
us ko to apnā zaḳhm dikhāne kī paḌ ga.ī
dam āḳhirī hai lab pe mirā us ko dosto
is haal meñ bhī chhoḌ ke jaane kī paḌ ga.ī
kuchh nekiyāñ bhī tū ne kamā.ī haiñ kyā 'malik'
daulat to be-shumār kamāne kī paḌ ga.ī
pahle to un ko uDne uDane ki paD gai
phir aasman zamin pe lane ki paD gai
kya kya ganwa diya hai mohabbat mein aaj tak
ek din mujhe hisab lagane ki paD gai
ab tak qadim zaKHm hararat mein the mere
zalim ko apna zulm baDhane ki paD gai
jiddat gham-e-hayat ki dil mein liye hue
main ro raha tha us ko hansane ki paD gai
izhaar-e-ishq karne hi wala tha un se mein
wapas unhen to aate hi jaane paD gai
main bhi lahuluhan hun wo bhul hi gaya
us ko to apna zaKHm dikhane ki paD gai
dam aaKHiri hai lab pe mera us ko dosto
is haal mein bhi chhoD ke jaane ki paD gai
kuchh nekiyan bhi tu ne kamai hain kya 'malik'
daulat to be-shumar kamane ki paD gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.